Nayi Mulakaat…
By Manjusha Handa
jaane yeh kaisi baat hui
kyun yeh nai mulakat hui
mana khayalon mein hai yeh mulakat
per laayi zindagi mein naye jazbaat
tumne kya baat kahi,
aur humne kya kuch na suna
is kehene sunne ki baton ne,
khayalon ka kya silsila buna
ab to zindagi ka nayaa ik saar,
jo laaye duniya mein harpal bahaar
bas jeevan ki dhara mein behete rahein,
aur jee jaayein tere khayaalon se bandhey
wahi mod hai yeh,
wahi shaam ka hai paher
sadiyon ka ahsaas hai yeh,
tere kahin aas paas hone ki lahar
Qissah-e-zindagi hi yeh
khayalon mein milte hum shaam-o-saher
kabhi to mile ab khayalon se parey,.
zindagi ki yehi aas hai Dil-Bar!
Another version of last stanza -
Afsana-e-hasti hi yeh
khayalon mein milte hum shaam-o-saher
kabhi to mile ab khayalon se parey,
zindagi ki yehi aas hai Bandah-parwar!
By Manjusha Handa
jaane yeh kaisi baat hui
kyun yeh nai mulakat hui
mana khayalon mein hai yeh mulakat
per laayi zindagi mein naye jazbaat
tumne kya baat kahi,
aur humne kya kuch na suna
is kehene sunne ki baton ne,
khayalon ka kya silsila buna
ab to zindagi ka nayaa ik saar,
jo laaye duniya mein harpal bahaar
bas jeevan ki dhara mein behete rahein,
aur jee jaayein tere khayaalon se bandhey
wahi mod hai yeh,
wahi shaam ka hai paher
sadiyon ka ahsaas hai yeh,
tere kahin aas paas hone ki lahar
Qissah-e-zindagi hi yeh
khayalon mein milte hum shaam-o-saher
kabhi to mile ab khayalon se parey,.
zindagi ki yehi aas hai Dil-Bar!
Another version of last stanza -
Afsana-e-hasti hi yeh
khayalon mein milte hum shaam-o-saher
kabhi to mile ab khayalon se parey,
zindagi ki yehi aas hai Bandah-parwar!