Raat jab charcha tera, yaadon ki mehfil mei hua
Ye fasana phir kabhi, kya jala kar le gaya, Charag-e-shab ka dhua
Dil lagaana, umr bhar ka sabak ban gayaa
Barsaat ki sard hawa ne is dil ko fir ghayal kiya
jee bharke Teri yaad mei ashko.n ko bhi bahaa diya
tere hum kuch bhi nahi, is baat ne pareshaa.n bahut kiya

dil tha barbaad hua, is baat ka gham nahi,
par kyun hum’me woh baat nahi, utha fir sawaal wahi
teri aahat sun’ne ki chah mei.n, yeh dil toota yahi
is dil ke lutney ka sabab, tu ek baar sunta sahi

Dil-o-dimaag ko samjha diya, dekho fir behel gaya
Jeene ko yeh jaan mili, is khayal ne samet liya
Zaraa der Qaws-e-quzah ke aane mei, kahaan sawera abhi hua
Tab talak is khayal-e-charaag ne, is dill ko zaraa narm kiya

Ye fasana phir kabhi, kya jala kar le gaya, Chirag-e-shab ka dhua
Ishq ne har baar sabr ki har sarhad ko paar kiya
Zehn pe apne, chup chaap har zakhm ko seh liya
Par yaadon ke bin laachaar badaa har lamha hua
Inki roshni ke zarre zaare mein dekho ishq fir ubhar rahaa

Nafrat ke teer khake bhi, dil dushmani na kar sakaa
nigaahon mei Pyar bhara dekhle ,mujhpe bharosa aaye zaraa
Pyar ki baazi ko wafaa ki raah pe chalke khela hai
Umr-e-gureza ke peeche ho liye,yaadon ke haath ab haal-o-mustaqabil hai